Skip to main content

ye baatein jhuthi baatein hein

· loading · loading · ·

- Ibn-e-Insha

ye baatein jhuthi baatein hein, ye logon ne phailai hein.
tum insha ji ka naam na lo, kya insha ji saudai hein?

hein laakhon rog zamaane mein, kyun ishq hai rusva bechara?
hein aur bhi vajhein vehshat ki, insaan ko rakhtin dukhyaara.
haan bekal bekal rehta hai, ho piit mein jisne dil haara.
par shaam se lekar subho talak, yun kaun phire hai aavaara?
ye baatein jhuthi baatein hein, ye logon ne phailai hein.
tum insha ji ka naam na lo, kya insha ji saudai hein?

gar ishq kiya hai tab kya hai? kyun shaad nahi? aabaad nahi?
jo jaan liye bin tal na sake, ye aisi bhi uftaad nahi.
ye baat toh tum bhi maanoge, vo qais nahin, farhaad nahi.
kya hijr ka daaru mushkil hai? kya vasl ke nuskhe yaad nahi?
ye baatein jhuthi baatein hein, ye logon ne phailai hein.
tum insha ji ka naam na lo, kya insha ji saudai hein?

Reply by Email

Related

© 2026 Prabhat Kumar